7
Shādī kī Misāl
1 Bhāiyo, āp to sharīat se wāqif haiṅ. To kyā āp nahīṅ jānte ki sharīat us waqt tak insān par iḳhtiyār rakhtī hai jab tak wuh zindā hai? 2 Shādī kī misāl leṅ. Jab kisī aurat kī shādī hotī hai to sharīat us kā shauhar ke sāth bandhan us waqt tak qāym rakhtī hai jab tak shauhar zindā hai. Agar shauhar mar jāe to phir wuh is bandhan se āzād ho gaī. 3 Chunāṅche agar wuh apne ḳhāwind ke jīte-jī kisī aur mard kī bīwī ban jāe to use zinākār qarār diyā jātā hai. Lekin agar us kā shauhar mar jāe to wuh sharīat se āzād huī. Ab wuh kisī dūsre mard kī bīwī bane to zinākār nahīṅ ṭhahartī. 4 Mere bhāiyo, yih bāt āp par bhī sādiq ātī hai. Jab āp Masīh ke badan kā hissā ban gae to āp mar kar sharīat ke iḳhtiyār se āzād ho gae. Ab āp us ke sāth paiwast ho gae haiṅ jise murdoṅ meṅ se zindā kiyā gayā tāki ham Allāh kī ḳhidmat meṅ phal lāeṅ. 5 Kyoṅki jab ham apnī purānī fitrat ke taht zindagī guzārte the to sharīat hamārī gunāhālūdā raġhbatoṅ ko uksātī thī. Phir yihī raġhbateṅ hamāre āzā par asarandāz hotī thīṅ aur natīje meṅ ham aisā phal lāte the jis kā anjām maut hai. 6 Lekin ab ham mar kar sharīat ke bandhan se āzād ho gae haiṅ. Ab ham sharīat kī purānī zindagī ke taht ḳhidmat nahīṅ karte balki Rūhul-quds kī naī zindagī ke taht.
Sharīat aur Gunāh
7 Kyā is kā matlab yih hai ki sharīat ḳhud gunāh hai? Hargiz nahīṅ! Bāt to yih hai ki agar sharīat mujh par mere gunāh zāhir na kartī to mujhe in kā kuchh patā na chaltā. Masalan agar sharīat na batātī, “Lālach na karnā” to mujhe darhaqīqat mālūm na hotā ki lālach kyā hai. 8 Lekin gunāh ne is hukm se fāydā uṭhā kar mujh meṅ har tarah kā lālach paidā kar diyā. Is ke baraks jahāṅ sharīat nahīṅ hotī wahāṅ gunāh murdā hai aur aisā kām nahīṅ kar pātā. 9 Ek waqt thā jab maiṅ sharīat ke baġhair zindagī guzārtā thā. Lekin jyoṅ hī hukm mere sāmne āyā to gunāh meṅ jān ā gaī 10 aur maiṅ mar gayā. Is tarah mālūm huā ki jis hukm kā maqsad merī zindagī ko qāym rakhnā thā wuhī merī maut kā bāis ban gayā. 11 Kyoṅki gunāh ne hukm se fāydā uṭhā kar mujhe bahkāyā aur hukm se hī mujhe mār ḍālā.
12 Lekin sharīat ḳhud muqaddas hai aur is ke ahkām muqaddas, rāst aur achchhe haiṅ. 13 Kyā is kā matlab yih hai ki jo achchhā hai wuhī mere lie maut kā bāis ban gayā? Hargiz nahīṅ! Gunāh hī ne yih kiyā. Is achchhī chīz ko istemāl karke us ne mere lie maut paidā kar dī tāki gunāh zāhir ho jāe. Yoṅ hukm ke zariye gunāh kī sanjīdagī had se zyādā baṛh jātī hai.
Hamāre Andar kī Kash-ma-kash
14 Ham jānte haiṅ ki sharīat ruhānī hai. Lekin merī fitrat insānī hai, mujhe gunāh kī ġhulāmī meṅ bechā gayā hai. 15 Darhaqīqat maiṅ nahīṅ samajhtā ki kyā kartā hūṅ. Kyoṅki maiṅ wuh kām nahīṅ kartā jo karnā chāhtā hūṅ balki wuh jis se mujhe nafrat hai. 16 Lekin agar maiṅ wuh kartā hūṅ jo nahīṅ karnā chāhtā to zāhir hai ki maiṅ muttafiq hūṅ ki sharīat achchhī hai. 17 Aur agar aisā hai to phir maiṅ yih kām ḳhud nahīṅ kar rahā balki gunāh jo mere andar sukūnat kartā hai. 18 Mujhe mālūm hai ki mere andar yānī merī purānī fitrat meṅ koī achchhī chīz nahīṅ bastī. Agarche mujh meṅ nek kām karne kā irādā to maujūd hai lekin maiṅ use amlī jāmā nahīṅ pahnā saktā. 19 Jo nek kām maiṅ karnā chāhtā hūṅ wuh nahīṅ kartā balki wuh burā kām kartā hūṅ jo karnā nahīṅ chāhtā. 20 Ab agar maiṅ wuh kām kartā hūṅ jo maiṅ nahīṅ karnā chāhtā to is kā matlab hai ki maiṅ ḳhud nahīṅ kar rahā balki wuh gunāh jo mere andar bastā hai.
21 Chunāṅche mujhe ek aur tarah kī sharīat kām kartī huī nazar ātī hai, aur wuh yih hai ki jab maiṅ nek kām karne kā irādā rakhtā hūṅ to burāī ā maujūd hotī hai. 22 Hāṅ, apne bātin meṅ to maiṅ ḳhushī se Allāh kī sharīat ko māntā hūṅ. 23 Lekin mujhe apne āzā meṅ ek aur tarah kī sharīat dikhāī detī hai, aisī sharīat jo merī samajh kī sharīat ke ḳhilāf laṛ kar mujhe gunāh kī sharīat kā qaidī banā detī hai, us sharīat kā jo mere āzā meṅ maujūd hai. 24 Hāy, merī hālat kitnī burī hai! Mujhe is badan se jis kā anjām maut hai kaun chhuṛāegā? 25 Ḳhudā kā shukr hai jo hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke wasīle se yih kām kartā hai.
Ġharz yihī merī hālat hai, Masīh ke baġhair maiṅ Allāh kī sharīat kī ḳhidmat sirf apnī samajh se kar saktā hūṅ jabki merī purānī fitrat gunāh kī sharīat kī ġhulām rah kar usī kī ḳhidmat kartī hai.