2
Qaum par Zulm Karne Wāloṅ par Afsos
Un par afsos jo dūsroṅ ko nuqsān pahuṅchāne ke mansūbe bāndhte aur apne bistar par hī sāzisheṅ karte haiṅ. Pau phaṭte hī wuh uṭh kar unheṅ pūrā karte haiṅ, kyoṅki wuh yih karne kā iḳhtiyār rakhte haiṅ. Jab wuh kisī khet yā makān ke lālach meṅ ā jāte haiṅ to use chhīn lete haiṅ. Wuh logoṅ par zulm karke un ke ghar aur maurūsī milkiyat un se lūṭ lete haiṅ.
Chunāṅche Rab farmātā hai, “Maiṅ is qaum par āfat kā mansūbā bāndh rahā hūṅ, aisā phandā jis meṅ se tum apnī gardanoṅ ko nikāl nahīṅ sakoge. Tab tum sar uṭhā kar nahīṅ phiroge, kyoṅki waqt burā hī hogā. Us din log apne gītoṅ meṅ tumhārā mazāq uṛāeṅge, wuh mātam kā talḳh gīt gā kar tumheṅ lān-tān kareṅge,
‘Hāy, ham sarāsar tabāh ho gae haiṅ! Merī qaum kī maurūsī zamīn dūsroṅ ke hāth meṅ ā gaī hai. Wuh kis tarah mujh se chhīn lī gaī hai! Hamāre kām ke jawāb meṅ hamāre khet dūsroṅ meṅ taqsīm ho rahe haiṅ.’ ”
Chunāṅche āindā tum meṅ se koī nahīṅ hogā jo Rab kī jamāt meṅ qurā ḍāl kar maurūsī zamīn taqsīm kare.
Wuh nabuwwat karte haiṅ, “Nabuwwat mat karo! Nabuwwat karte waqt insān ko is qism kī bāteṅ nahīṅ sunānī chāhieṅ. Yih sahīh nahīṅ ki hamārī ruswāī ho jāegī.” Ai Yāqūb ke gharāne, kyā tujhe is tarah kī bāteṅ karnī chāhieṅ, “Kyā Rab nārāz hai? Kyā wuh aisā kām karegā?”
Rab farmātā hai, “Yih bāt durust hai ki maiṅ us se mehrbān bāteṅ kartā hūṅ jo sahīh rāh par chale. Lekin kāfī der se merī qaum dushman ban kar uṭh khaṛī huī hai. Jin logoṅ kā jang karne se tālluq hī nahīṅ un se tum chādar tak sab kuchh chhīn lete ho jab wuh apne āp ko mahfūz samajh kar tumhāre pās se guzarte haiṅ. Merī qaum kī auratoṅ ko tum un ke ḳhushnumā gharoṅ se bhagā kar un ke bachchoṅ ko hameshā ke lie merī shāndār barkatoṅ se mahrūm kar dete ho. 10 Ab uṭh kar chale jāo! Āindā tumheṅ yahāṅ sukūn hāsil nahīṅ hogā. Kyoṅki nāpākī ke sabab se yih maqām aziyatnāk tarīqe se tabāh ho jāegā. 11 Haqīqat meṅ yih qaum aisā farebdeh nabī chāhtī hai jo ḳhālī hāth ā kar * Lafzī tarjumā: jo hawā yānī kuchh nahīṅ apne sāth le kar āe. us se kahe, ‘Tumheṅ kasrat kī mai aur sharāb hāsil hogī!’
Allāh Qaum ko Wāpas Lāegā
12 Ai Yāqūb kī aulād, ek din maiṅ tum sab ko yaqīnan jamā karūṅga. Tab maiṅ Isrāīl kā bachā huā hissā yoṅ ikaṭṭhā karūṅga jis tarah bheṛ-bakriyoṅ ko bāṛe meṅ yā rewaṛ ko charāgāh meṅ. Mulk meṅ chāroṅ taraf hujūmoṅ kā shor machegā. 13 Ek rāhnumā un ke āge āge chalegā jo un ke lie rāstā kholegā. Tab wuh shahr ke darwāze ko toṛ kar us meṅ se nikleṅge. Un kā bādshāh un ke āge āge chalegā, Rab ḳhud un kī rāhnumāī karegā.”

*2:11 Lafzī tarjumā: jo hawā yānī kuchh nahīṅ apne sāth le kar āe.