17
Rab Dāūd ke lie Abadī Bādshāhī kā Wādā Kartā Hai
Dāūd Bādshāh salāmatī se apne mahal meṅ rahne lagā. Ek din us ne Nātan Nabī se bāt kī, “Dekheṅ, maiṅ yahāṅ deodār ke mahal meṅ rahtā hūṅ jabki Rab ke ahd kā sandūq ab tak tambū meṅ paṛā hai. Yih munāsib nahīṅ!” Nātan ne bādshāh kī hauslā-afzāī kī, “Jo kuchh bhī āp karnā chāhte haiṅ wuh kareṅ. Allāh āp ke sāth hai.”
Lekin usī rāt Allāh Nātan se hamkalām huā, “Mere ḳhādim Dāūd ke pās jā kar use batā de ki Rab farmātā hai, ‘Tū merī rihāish ke lie makān tāmīr nahīṅ karegā. Āj tak maiṅ kisī makān meṅ nahīṅ rahā. Jab se maiṅ Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāl lāyā us waqt se maiṅ ḳhaime meṅ rah kar jagah bajagah phirtā rahā hūṅ. Jis daurān maiṅ tamām Isrāīliyoṅ ke sāth idhar-udhar phirtā rahā kyā maiṅ ne Isrāīl ke un rāhnumāoṅ se kabhī is nāte se shikāyat kī jinheṅ maiṅ ne apnī qaum kī gallābānī karne kā hukm diyā thā? Kyā maiṅ ne un meṅ se kisī se kahā ki tum ne mere lie deodār kā ghar kyoṅ nahīṅ banāyā?’
Chunāṅche mere ḳhādim Dāūd ko batā de, ‘Rabbul-afwāj farmātā hai ki maiṅ hī ne tujhe charāgāh meṅ bheṛoṅ kī gallābānī karne se fāriġh karke apnī qaum Isrāīl kā bādshāh banā diyā hai. Jahāṅ bhī tū ne qadam rakhā wahāṅ maiṅ tere sāth rahā hūṅ. Tere deḳhte deḳhte maiṅ ne tere tamām dushmanoṅ ko halāk kar diyā hai. Ab maiṅ terā nām sarfarāz kar dūṅgā, wuh duniyā ke sab se azīm ādmiyoṅ ke nāmoṅ ke barābar hī hogā. Aur maiṅ apnī qaum Isrāīl ke lie ek watan muhaiyā karūṅga, paude kī tarah unheṅ yoṅ lagā dūṅgā ki wuh jaṛ pakaṛ kar mahfūz raheṅge aur kabhī bechain nahīṅ hoṅge. Bedīn qaumeṅ unheṅ us tarah nahīṅ dabāeṅgī jis tarah māzī meṅ kiyā kartī thīṅ, 10 us waqt se jab maiṅ qaum par qāzī muqarrar kartā thā. Maiṅ tere dushmanoṅ ko ḳhāk meṅ milā dūṅgā. Āj maiṅ farmātā hūṅ ki Rab hī tere lie ghar banāegā. 11 Jab tū būṛhā ho kar kūch kar jāegā aur apne bāpdādā se jā milegā to maiṅ terī jagah tere beṭoṅ meṅ se ek ko taḳht par biṭhā dūṅgā. Us kī bādshāhī ko maiṅ mazbūt banā dūṅgā. 12 Wuhī mere lie ghar tāmīr karegā, aur maiṅ us kā taḳht abad tak qāym rakhūṅgā. 13 Maiṅ us kā bāp hūṅgā aur wuh merā beṭā hogā. Merī nazar-e-karm Sāūl par na rahī, lekin maiṅ use tere beṭe se kabhī nahīṅ haṭāūṅgā. 14 Maiṅ use apne gharāne aur apnī bādshāhī par hameshā qāym rakhūṅgā, us kā taḳht hameshā mazbūt rahegā.’ ”
Dāūd kī Shukrguzārī
15 Nātan ne Dāūd ke pās jā kar use sab kuchh sunāyā jo Rab ne use royā meṅ batāyā thā. 16 Tab Dāūd ahd ke sandūq ke pās gayā aur Rab ke huzūr baiṭh kar duā karne lagā,
“Ai Rab Ḳhudā, maiṅ kaun hūṅ aur merā ḳhāndān kyā haisiyat rakhtā hai ki tū ne mujhe yahāṅ tak pahuṅchāyā hai? 17 Aur ab ai Allāh, tū mujhe aur bhī zyādā atā karne ko hai, kyoṅki tū ne apne ḳhādim ke gharāne ke mustaqbil ke bāre meṅ bhī wādā kiyā hai. Ai Rab Ḳhudā, tū ne yoṅ mujh par nigāh ḍālī hai goyā ki maiṅ koī bahut aham bandā hūṅ. 18-19 Lekin maiṅ mazīd kyā kahūṅ jab tū ne yoṅ apne ḳhādim kī izzat kī hai? Ai Rab, tū to apne ḳhādim ko jāntā hai. Tū ne apne ḳhādim kī ḳhātir aur apnī marzī ke mutābiq yih azīm kām karke in azīm wādoṅ kī ittalā dī hai.
20 Ai Rab, tujh jaisā koī nahīṅ hai. Ham ne apne kānoṅ se sun liyā hai ki tere siwā koī aur Ḳhudā nahīṅ hai. 21 Duniyā meṅ kaun-sī qaum terī ummat Isrāīl kī mānind hai? Tū ne isī ek qaum kā fidyā de kar use ġhulāmī se chhuṛāyā aur apnī qaum banā liyā. Tū ne Isrāīl ke wāste baṛe aur haibatnāk kām karke apne nām kī shohrat phailā dī. Hameṅ Misr se rihā karke tū ne qaumoṅ ko hamāre āge se nikāl diyā. 22 Ai Rab, tū Isrāīl ko hameshā ke lie apnī qaum banā kar un kā Ḳhudā ban gayā hai.
23 Chunāṅche ai Rab, jo bāt tū ne apne ḳhādim aur us ke gharāne ke bāre meṅ kī hai use abad tak qāym rakh aur apnā wādā pūrā kar. 24 Tab wuh mazbūt rahegā aur terā nām abad tak mashhūr rahegā. Phir log taslīm kareṅge ki Isrāīl kā Ḳhudā Rabbul-afwāj wāqaī Isrāīl kā Ḳhudā hai, aur tere ḳhādim Dāūd kā gharānā bhī abad tak tere huzūr qāym rahegā. 25 Ai mere Ḳhudā, tū ne apne ḳhādim ke kān ko is bāt ke lie khol diyā hai. Tū hī ne farmāyā, ‘Maiṅ tere lie ghar tāmīr karūṅga.’ Sirf isī lie tere ḳhādim ne yoṅ tujh se duā karne kī jurrat kī hai. 26 Ai Rab, tū hī Ḳhudā hai. Tū ne apne ḳhādim se in achchhī chīzoṅ kā wādā kiyā hai. 27 Ab tū apne ḳhādim ke gharāne ko barkat dene par rāzī ho gayā hai tāki wuh hameshā tak tere sāmne qāym rahe. Kyoṅki tū hī ne use barkat dī hai, is lie wuh abad tak mubārak rahegā.”